Saturday, September 02, 2006

aaloo gosht & tortila bread

garam shorba aur chapati
zeera, dhaniya aur mirach
namak aur kali sfaid mirchi
bohat sa piyaz lehsun aur tamatar
dil khol ke tel
aur josh der josh bhuni hui handi

diar-e-gair mein ghar ka khana
aur bin ghar walon ko ghar ki yaad

hamesha ka bhatka hua musafir kyunkar ghar ko yaad keray
bin dastak darwazon ki raak taknay walon ko kis ka intezar

barish apne des mein bhi khub barsa kerti thi
barsaat ki bheegi hawa
aur boondon ka palat palat tapakna

magar apni barish se kabhi dharkan sard mehsoos nahi hui
apni barsaat mein khunki aur nami lakh sahi
magar sard thandak na thi

yahan ki barish sard hai
yahan ka aasman neela magar weeran hai
yahan ke baadal ujlay magar be-khawb hain

apne des ke aaloda aasman pe bhi umeed ki jhalak dikhti thi
yahan ka dhoola ujla aasman weeran-o-biyabaan hai

bichar janay walay laut aya kertay hain
tootay bandhan jur jaya kertay hain
khichay dhagay waqt ki hawahon mein lipat jaya kertay hain

magar khud se door khudi mein bhatkay musafir ki koi manzil nahi hua kerti
khud se nikal ker khud hi mein mulawis musafir ki koi umeed nahi hoti

aaj hawa bohat sard
barish bohat ajnabi
aur aasman bohat weeran hai

aaj zamanay se barh ker ajnabi
ajnabi ke andar ka jahan hai

0 Comments:

Post a Comment

<< Home